Abraham Lincoln, Cleopatra, Elon Musk, aur Steve Jobs jaise bade logon ne ek baat prove ki haiโapni struggles ko openly share karna hi asli connection banata hai. Sirf apni strengths ya achievements ke baare mein baat karte raho toh log bore ho jaate hain, aur sochte hain yeh toh alag planet se aaya hai, perfect banda! Lekin jab tum apni failures aur struggles ko accept karte ho, openly discuss karte ho, tab log dil se connect karte hain. Yeh ek tarika hai mass following banane kaโauthenticity. Lincoln ko aaj bhi itna respect isliye milta hai kyunki unhone apni kamzoriyan chhupayi nahi, balki unhe saamne rakha.
Iske saath hi, scarcity bhi zaroori hai. Hamesha available mat rahoโjab tum har waqt “haan” bolte ho, har call ka jawab dete ho, toh log sochte hain, “Iska life mein aur kuch kaam nahi hai kya?” Par jab tum busy ho, apne mission pe focus karte hoโlike building something big jaise Tesla ya SpaceXโaur phir bhi thodi si time nikaal ke kisi ke liye dedicate karte ho, tab tumhari value badhti hai. Cleopatra ne bhi yahi kiyaโwoh kabhi easily available nahi thi, aur isliye Julius Caesar aur Mark Antony jaise log uske peeche pagal the. Toh yeh hai mantra: apni struggles share karo, perfection ka dikhawa mat karo, aur hamesha thoda unavailable raho. Life mein ek purpose dhoondo, uspe kaam karo, aur baaki cheezon ko second priority pe rakho. Jab tum kuch bada banane mein lage ho, tab hi log tumhe attractive samajhte hain. Yeh law number 5 hai โ art of seduction ka, balki life mein respect aur following banane ka!