Ram ke rajyabhishek ki baat chali, sab khush the.
Kaikeyi bhi khush thi, usne apna haar tak daasi ko de diya.
Lekin phir Manthara ne uska dimag ghooma diya. Aur phir usne sab ulta kar diya.
Ab socho β ek daasi agar rani ka dimaag badal de, to samjho ki rani kamzor thi, aur daasi strong.
Raja Dashrath samjhate rahe, roye, lekin Kaikeyi nahi mani.
Unhone Kaikeyi se vivah kyun kiya tha?
Kyunki usne yudh mein unka jeevan bachaya tha.
Lekin kya yeh kaafi tha?
Aur fir wahi Kaikeyi ne kya diya?
Ghar mein aisi halaat bana di ki Raja Dashrath tadap-tadap ke mar gaye.
Toh asli sawal yeh hai β ek acchi wife kaisi hoti hai?
Usmein veerta ho ya na ho, par usmein daya, prem, seva aur samarpan ho. Jaise Kaushalya mein tha.
Raja Dashrath ne antim samay pe jab sab kuch samjha, tab kaha:
“Kaikeyi, maine asli patni ko kabhi poora samman nahi diya β Kaushalya hi sach mein samaan yogya thi. Tum nahi.”
Unhone Kaushalya ke bare mein kaha:
Kaushalya ek hi samay pe har roop mein thi β aur wahi hoti hai ek acchi patni, ek acchi wife.
Aisi wife jab tak na ho, ghar nahi chal sakta, raja nahi bach sakta, raam jaisa beta aa nahin sakta aur duniya nahi sudhar sakti.
Aur agar hum is tarah ki wife ko ignore karein, aur sirf show-off wali ya ego wali ko importance dein, toh aap jaante hi hain kya hoga, aur dekh bhi rahe honge apne aas paas hote, ya news mein hote.