Neurosis ek aisi mental condition hai jo ek civilized samaj mein rehne ki minimum cost hai.
Freud ka maanna tha ki jaise-jaise insaan sabhyata (civilization) ke rules aur norms ko follow karta hai, uske andar anxiety, frustration aur repression badhne lagta hai โ jiska nateeja hota hai: neurosis.
Pehle abnormal behavior ko supernatural maana jaata tha โ jaise bhoot, pret, jin.
Freud ne kaha ki yeh sab kuch insaan ke andar chhupi hui psychological problems ka result hai.
Unhone magic healing ko hataakar scientific healing introduce ki. Jaise Harvey ne blood circulation ka law diya, waise Freud ne unconscious mind ka concept diya.
Insaan baar-baar chintit, ghabraaya, stressed mehsoos karta hai.
Psychosomatic effect: Blood pressure badhta hai, heartbeat tez ho jaati hai.
Ye disorder aam hai, lekin kaafi distress create karta hai.
Yahan insan ka perception bigad jaata hai โ jaise delusion aur illusion.
Sexual perversion, nudity-related behavior jaise conditions isme aate hain.
Freud ki beti ne likha:
โAmerica mein abnormal logon ko asylum bhej dete hain. India mein unhe devta maan ke pooja jaata hai.โ
Ek aadmi bole โ โMain Shiv ka avatar hoonโ
Log bole โ โDhan ho Baba!โ
Freud ke nazariye se โ yeh abnormality hai, spirituality nahi.
Freud ne har tarah ke patient ka treatment kiya โ delusion, neurosis, perversion, psychosis, etc.
Unka maana tha ki unconscious mind mein chhupi hui suppressed desires hi har abnormality ki jad hai.
Jab unhone dekha ki itne saare log mentally disturbed ho rahe hain, toh unhone apni clinic band karke โPsychoanalytic Philosophy of Lifeโ develop ki.
Freud kehte hain:
โPrimitive log mentally disturbed nahi hote, kyunki unke upar koi repression nahi hota.โ
Jaise-jaise sabhyata aati hai, hum sexual aur biological desires ko repress karte hain.
Yeh repression hi neurosis ka reason hai.
Jab ego dono taraf se dabaav mein hota hai โ id aur superego ke beech โ toh anxiety paida hoti hai.
โNeurosis is the price we pay for being civilized.โ
“Manushya jitna civilised hota hai, utna hi repressed hota hai โ aur isi repression se paida hoti hai uski mental illness.”