Russell ne ek zabardast essay likha tha β Why I Am Not a Communist. Usmein unhone seedha seedha likha:
βJahaan Communism hota hai, wahan Thought ki Liberty nahi hoti.β
Matlab agar tum Communist country mein ho aur tumhare vichar unse alag hain, toh ya toh tum jail jaoge, ya tumhe khamosh kar diya jayega. Russell ke liye freedom of opinion sabse badi value thi.
Karl Popper ek Political Thinker the. Philosopher bhi the, par unka main kaam Political Philosophy aur Political Science ke field mein tha.
Unhone Communism aur Fascism β dono ko full power mein challenge kiya.
Is book mein Popper ne Plato aur Karl Marx dono ki dhajjiyan uda di.
Plato ne society ko elite aur non-elite mein divide kiya, jahan common log (helots) vote tak nahi de sakte.
Marx ke according, jab tak Communism nahi aata, Democracy possible hi nahi hai.
But Popper kehte hain:
“Communism khud ek Closed Society hai. Wahan sirf ek ideology allowed hai. Open Society ka matlab hota hai β sabko bolne ka right ho.”
Is book mein Popper ne Marx ke “history ka ek fixed path hai” theory ko totally reject kiya.
Marx kehte the β sab kuch Economic Forces se decide hota hai. Pehle hunting stage, fir agriculture, fir feudalism, fir capitalism, aur finally communism.
But Popper bolte hain:
βBhai, history koi train ki line nahi hai. Usme curve bhi hote hain, detours bhi.β
Communism mein:
Lekin America jaise liberal democracies mein:
Toh real Democracy woh hai jahan har kisi ko bolne ka haq ho.
John Stuart Mill ne kaha tha:
βAgar koi aadmi bewakoofi wali baat bhi karta hai, toh bhi usko bolne do. Public samajhdaar hai, decide kar legi ki kya sahi hai.β
Yani, jab tak freedom of expression hai, society evolve kar sakti hai.
Walter Kolarz ne bola:
βFaith ke bina aadmi jee nahi sakta. Religion ko hataoge toh Communism khud khatam ho jaayega.β
Faith koi fixed form nahi hai β kisi ka Allah mein vishwas hai, kisi ka Buddha mein, kisi ka Jesus ya Ram mein. Sabka apna perspective hai. Isko force se khatam karna natural nahi hai.
Marx kehte the:
But kya hua?
Toh Popper ne dikhaya:
βHistory Marx ke formula se nahi chalti. Usne Marx ki βPoverty of Historicismβ dikhayi β yaani Marx ki history theory hi gareeb hai.β
Chahe Political theory ho, ya religious belief, ya kisi ka opinion β
Liberty of Thought sabka birthright hai.
Karl Popper, Bertrand Russell, Walter Kolarz β sabne isi baat ko repeat kiya:
βJahan Open Society hogi, wahan real democracy hogi. Jahan sirf ek thought allowed hai, wahan dictatorship hi hai.β