Kya aapke paas itna kuch ho gaya hai ki aapko pata hi nahi kaunsa cheez kahan rakha hai?
Laptop, mobile, 4 headphone, 3 shampoo, 5 t-shirt jisme se 2 hi pehente ho, 100 photo jo kabhi delete nahi ki…
Yeh sab mila ke bann gaya hai — “Extra Load”.
Minimalism ka matlab hota hai – kam cheezein, zyada clarity.
Minimalism koi fancy lifestyle trend ya word nahi hai. Yeh ek soch hai —
“Main apni life sirf unhi cheezon se bharu jo truly zaroori hain – baaki hata du.”
Chahe wo:
Jab aapke paas 3 t-shirt hain, toh aapko 15 minute sochne nahi padte kya pehna hai.
Yeh small wins daily energy save karte hain.
Kam samaan hone ka matlab — kam dust, kam cleaning, kam mess.
Aur iska direct link hai mental clarity se.
Jab life se distractions kam hote hain, toh aap khud se judte ho. Khud se baat karna, likhna, sochna – yeh sab possible hota hai.
Koi bhi cheez agar 30 din se use nahi ki — donate ya sell kar do. Simple hai, aur powerful bhi.
Sirf kapde aur gadgets nahi, digital minimalism bhi zaroori hai. Har din apna WhatsApp, email, gallery thoda sa clean karo.
Naya lene se pehle — ek purana cheez nikaalo. Naye jooton ke liye, ek purane donate karo.
Main jab minimalist lifestyle ki taraf gaya:
Kyunki life koi storage room nahi hai jahan sab bharna hai. Yeh ek experience hai — jisme clarity, peace aur freedom hone chahiye.
Asli azaadi wahi hai jab aap un cheezon se FREE ho jaayein jo aapko control karti hain — chahe woh aadatein ho, logon ki soch ho, ya aapke apne darr. Jab yeh bojh utarta hai, tab jo mental clarity milti hai, usmein ek new beginning hoti hai… wahi life ko bohot simple karta hai aur saath – saath aapko duniya ki saari khushi bhi deta hai, jo aap kab se dhund rahe ho.